Khamosh World 4
2 posters
Page 1 of 1
Khamosh World 4



























Naram Naram Pholon Ka Ras Nichor Letii Hain
Pathar K Dil Hote Hain Titliyon K Seenay Main





















Mili Her Qadam Per Rafaqat Tumhari,
Kahan ham Kahan Ye Anayat Tumhari
Humain Chaheye Bas Taluq Tumhara,
Mohabbat Milay Ye Adawat Tumhari
Kisi Se Bhi Milna Usse Jeet Leyna,
Bari Dilnsheen Hai Ye Adwat Tumhari
Na Dehka Jahan Me Koi Or Tum Sa,
Bari Mufarid Hai Zarorat Tumhari..





Ab teri yaad say wehshat naheen hoti mujh ko
Zakham khulney se aziyat naheen hoti mujh ko

Ab koi aaye chala jaye main khush rehta hoon
Ab kisi shakhs ki aadat naheen hoti mujh ko

Aesa badla hoon teray sheher ka paani pi kar
Jhoot boloon to nidaamat naheen hoti mujh ko

Main ne bhi ki hey mohabbat, so kisi ki khatir
Koi marta hai to hairat naheen hoti mujh ko

Itna masroof hoon jeenay ki hawas main yaaro
Saans leney ki bhi fursat naheen hoti mujh ko






















Farz karo tum kuch na paao
Apna ap luta ker bhi
Farz karo koi muker jaye
“Sachi kasaim“ kha ker bhi




Aur farz karo ye farz na ho
Sachi aik haqeeqat ho…
Terey ishq ke her rastey per
Jana aik qayamat ho…





Aur suna hai ye qayamat
Khoon jigar ka peeti ha…i
Tum tou faqat farz karoge
Mujh per ye sab beeti hai…







Hamari jan jaye gi to jan jao gay
k
Hasil kuch nehain hota kisi ko azmane se














Mohabbat seekh kay karnaa
kay bin seekhay mohabat kaa safar dushwar hota hai
Grebaan taar hota hai,
kabhi inkaar hota hai kabhi iqrar hota hai

Mohabbat seekh kay karnaa
kay bin seekhay mobbat sarabon ki kahani hai
DUkhon ki raaj dhani hai

Jo kal ban jaayegaa badal
DAriyaa kaa wo paani hai

Mohabbat seekh kay karnaa
kay bin seekhay mohabbat tou
Azaab e zindagi theri
Naa ho takmeel jis ki jo
KItab e zindagi theri…





Mohabbat main asar hoga to ek din tum ko paalenge
Kisi surat se hum bigrri hui Kismat banalenge

Sitaron main Phoolon main Chaand main tum mil hi jaoge
Kahan tak hai mohabbat main haqeeqat aazma lenge

Zamaane ko dikha denge ke do DIL kaise milte hain
Is duniya main hum tum doosri duniya basalenge














Phir na dena sada humko
phir na loat k aaiengey hum
phir na kehna bewfa humko
ye aur baat hey k ek baar nahi so baar

so bar nahi bar bar
tera naam lene se milti hey shafa humko
phir na dena sada humko
phir na loat k aaiengey hum
yeh waqt bhi bara zalim hey

na iss ke paas
dil hey
na aankh
na aansoo
na ehsaas

iss toofan main bikhar jaiengey hum
phir na sametna humko
phir na dena sada humko…..


































Aik Rah Per Sari Umer Chaley
Ek Dojey Ko Na Samjh Sakey

Jeevan Ka Safer Anjaan Safer
Bay-Khwahish Bay-Araam Safer

Jevan K Kissi Bhi Dukh Sukh Main
Woh Meray Saath Shareek Nahin

Hum Dono Main Ek Rishta Hey
Per Jazboon Ki Tehreek Nahin

Jari Hey, Mager Anjaan Safer
Main Sochta Hoon Aik Din Yunhi

Woh Mujh Sey Juda Ho Jayegi

Ya Pehlay Main Mar Jaon Ga
Ya Shaid Woh Mar Jayegi

Phir Loug Kahin Gay
Inka Yeh Rishta Kitna Sacha Tha

Per Kiss Ko Khaber, Sara Jeevan

Woh Tanha Thi…
Main Tanha Tha






kis dam pe umeed rakhu tujhe paane ki
in haathon mein lakeeron ke siva kyaa hai……

kiyon kar na zard hoti meri aankhain
inhone khizaaon ke siva dekha kyaa hai……

guzrii hai ta umr meri intzaar mein unke
jo puchhte hain intzaar ka mazaa kyaa hai……

khaabon mein wo aate bhi to bhala kaise
meri kismat mein jaagne ke siva kyaa hai…..

thukra diya jo tune bhi to gam nahi mujhe
aakhir ye mere saath naya huaa kyaa hai…..

jo doob chuke hon kisi ki mast nazar mein
tum unse puchhte ho ki nasha kyaa hai…….

karke beghar mujhe puchhte hain aksar
‘Diya‘ bataa tere ghar ka pata kyaa hai……





Taluq Toot Jaye Ga Mera Sare Zmane Se

Mere Apne Kahan Hon Ge
Tmhe Apna Bunana Se?

Tumhare Sath Sehne Se
Mujhe Tskeen Milti Hai

Bohat Takleef Hoti Hai
Tumhare Door Jane Se!

Humri JAN Jay Gi To Phir
Tum Jan Jao Ge

K Hasil Kuch Nahi Hota Kisi Ko Azmane se!

Tumhara Naam Kase
Mita Don Apni Kahani Se

Bohat Gehra Taluq Hai Tera Mere Fsane Se























Re: Khamosh World 4
Thank you so much Cazan k tu ny itni pyari posting send ki.
aik baat to batao k ye jo Farz karo wali poetry hoti hain saari hi itni nice hoti hai?? really fantastic!!!!!!!! very good zaberdast.
Keep it up.
Regards,
Annu
aik baat to batao k ye jo Farz karo wali poetry hoti hain saari hi itni nice hoti hai?? really fantastic!!!!!!!! very good zaberdast.
Keep it up.
Regards,
Annu
anaarkali2011- JUNIOR MEMBER
- Posts : 81
Join date : 2011-03-05
Age : 37
Location : Faisalabad-Pakistan
Re: Khamosh World 4
thanx cazan
wese farz wali kyon itni acha hoti hain shaid zeyada muje b neahin pat but i thik
farz , kash ye jo lafz hain ye hamain un lamhat se jor dete hain jin tak ponchna ya jin ko hasil karna
mushkil hota hai
myb m right but muje yehi lagta hai
ok thanx again for liking
tc
wese farz wali kyon itni acha hoti hain shaid zeyada muje b neahin pat but i thik
farz , kash ye jo lafz hain ye hamain un lamhat se jor dete hain jin tak ponchna ya jin ko hasil karna
mushkil hota hai
myb m right but muje yehi lagta hai
ok thanx again for liking
tc
Page 1 of 1
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum
|
|